Beauty Tips



agar Mathy par bareek dane nikal ayen to Orange ke Chilke khushk kar ke bareek pees lain taza pani me marham si bana ker mathy par lagaen chand dino me dane khatam ho jaen ge or matha saad ho jae ga podene ki chand patiyan obal len or mehfooz kr len har roz subha do chamche piya karen chand yoom me afaqa ho jae ga sandal ko bareek pees leen or khub dhule howe makhan me milaa kr lagae.

zaitoon ke phal ki trah is ka tail bhi sehat ke lie mufeed hai tehqiq ke mutabiq zaitoon ke tail se jild ki khubsorti me izafa hota he maze dar zaitoon ki traha is ka tail bhi qudarti fawaid se mala maal he muhaqeqin ke mutabiq khwaten ko chahiye ke wo zaiton se bane howe products ja istemal karen kiu ke zaiton ka tail aik qudari mostrizer he is ka massage na sirf jild ko chamakdar banata he balke jildi amraz se bachane me madad deta he zaitoon aik mazedar phal bhi he jise pori duniya me log khane ke sath sath khubsurti ko barhane ke lie bhi istemal karte he yahan tak arab mamalik me zaiton ke tail me khaana banane ka riwaj bohat purana he

jild ki khubsurti ko barqar rakhne me shahed ka aham kirdar he kiu k shahed me qudrat ne aisi khususiat rakhi hen ke wo har qism ke becteria ko zail karne ki salahiat rakhta he ise khane se na sirf bemarian door hoti he bal ke chehre pr khalis shahed ka lape dene se kharab jild bhi naram ho jati he....

shahed me qudrat ne mukhtalif ajza ko is khubsurti se tarteeb dia he ke duniya ki kisi bhi bemari me ise istemal karna afaqe ka bais banta he kiu k ye aik insani khurak he or is k koi side effect nahi he 
agr shahed ko batoor e khurak  rozaana aik chamach neem garam pani me dal kr subha nehar munh piya jae to sehat achi hone ke sath sath motapa bhi kam hota he or jism se falto charbi ka ikhraj hota he...



shahed ki makhi ke dank ke lie darood sharif drood e ibrahimi 7 bar parh ker dam karen or phir is amal ko 3 bar dohrain 

Massage ya Malish se Aza Mazboot hote hen or jild ki umer barhti he jild par mojood muzar ajza ka safaya hone k sath sath khoon ki gardish ka nizam bhi behtar hota he na sirf bal jild barhte hen balke unki chamak damak me bhi izafa hota he tanao or dabao kam hota he zehni sakoon milta he or nend me bhi behtri ati he ankhon ki thakawat door hoti he irtkaz ki salahiat me izaafa hota he yadasht behter hoti he

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »